Blogger Widgets

Denzer Neriator

Denzer Neriator

Denzer Neriator

Dec 28, 2011

Paagal karke chala jata hai...

 Kabhi Kabhi jane kyo dard ka ek sailaab sa aata hai
Wo har purani yaad ko jhakjhor ke chala jata hai

Sochte hai humne to ki thi Wafa usse apni jaan samjhkar
Par jaane kyo wo lamha had se jyada tadpa jata hai

Roz-Roz aansuo ki jane kitni boonde giri ankho se
Par har boond me wo bewafa hi najar aata hai

Kho diya jis pal se apni jaan ko humne
Har khushi me bhi manjar us pal ka najar aata hai

Khuda na kare koi bhi tarse is tarah pyaar ke liye
Ye pyaar to hai hi jaalim bas Paagal karke chala jata hai...
*˜˜˜”*°•♥♥•NEEL•♥♥•°*”˜˜˜*
Denzer-neriatoR